Marhaba, Marhaba, Marhaba Ahlan wasahlan Marhaba

Aagaye SarkaarKhushian Manaao, Dhumey machaao,aagaye sarkar.

Amad huee hiy un ki, sab zulmatain chattin hain,
Aaj dewaano, mil kar bolo, aagaye sarkaar.

Pur noor hey ye aalam, sab muskaraa rahey hain,
Un ki amad ke charchey hain, aagaye sarkar.

Aqa ki amad se to, soey naseeb jagey,
Kul Nabiyon ke sarwar aaye, aagaye sarkar.

Mahshar ke roz jin sey, pahchaan jaayen gey hum,
Kyun ghabratey hon diwaano, aagaye sarkar.

Ghar, ghar chiraaghaan kar lo, galiyon ko jag-magaao,
Mil kar lagaao, na’rah khushi ka, aagaye sarkar.

Nazraana-e-Aqidat, jo pesh kar raha hoon,
Naat likhi hey, aaj Ali nay, aagaye sarkar

I BUILT MY SITE FOR FREE USING