Ahmed-e-Mujtaba Ya Rasool-e-Khuda
Ma siwa aap ke hum kidhar jaengae

ho nigah-e-karam ya shafiulwara
aasiyon ke muqadar sanwar jaengae

hum gunah gaar hain hum khata kaar hain
naam lewa hain hum aap k ummati
aap se door hain kitne majbor hain
ab inayat na hogi to mar jaengae

ho nigah hy karam,

aik adna ye kia jane k aap k
oaj par ashiqun k naseeb aengae

kali kamli ka sadqa ata ki jiaye
khali daaman muradon se bhar jaengae

ho nigah e karam

chain ik pal moyassar nahi ya nabi
kis ko awaz den ma siwa aap ke

chain ik pal moyassar nahain ya nabi
kis ko awaz den ma siwa aap ke

gar ho ek bar chashm-e-karam aap ki
huq-e-rahye atar se guzar jaengae

Ho nigah-e-karam

qalb-e-ishrat ki he justjo akhri
dum nikal jae chukhat pe bas aap ki

sunlo behre hussain o hassan iltaja
warna ashqon k moti bikhar jaengae

Ho nigah-e-karam ya shafiulwara
aasiyon k muqadar sanwar jaengae

I BUILT MY SITE FOR FREE USING