Aisa Bhi Ho Ya Syed-e-Abrar Kissi Din
ho jaye meri hazri sarkar kisi din

har waqat tasavor men madiny ki gali ho
aur yaad muhammad ki mery dil men basi ho
ay kash men bn jaon madiny ka musafar
phir roti hui taiba ko barat chali ho

vo dar vo daricha vohi mehrab vo membar
ho samny unky ye gunahgar kisi din

ya rab meri soi hui taqdeer jaga dy
ankhen mujhy den hen to madina bhi dikha dy
mudat sy men in hathon sy karta hun duayen
in hathon men jali vo sunehri tun thama dy

men bhi kahon dekho ary dekho meri ankhen
sarkar jo bakhshy mujhy didar kisi din
ya rab tery mehboob ka jalwa nazar aye
us noor-e-mujasam ka sarapa nazar aye
ay kash kabhi aisa bhi khawab men mery
hon jiski gulami men vo aqa nazar aye

den apky rozy py adeeb aky salami
sarkar kisi din mery sarkar kisi din
ho jaye meri hazri sarkar kisi din


I BUILT MY SITE FOR FREE USING