Apny daman-e-shifaiat men chupaye rakhna
Mery sarkar meri bat bnaye rakhna
Jab sava nezy par khursheed qayamat aye
Apni zulfoon ky ghunahgar py saye rakhna
Mery sarkar meri bat bnaye rakhna
Isi mansab ka talabgar hun men bhi aaqa
Khak hun men mujhy qadmoon sy lagaye rakhna
Mery sarkar meri bat bnaye rakhna
Ap yaad ayeen to phir yaad aye na koi
Ghair ki yaad mery dil sy bhulaye rakhna
Mery sarkar meri bat bnaye rakhna
Unky ho jao har aik cheez unhi sy mango
Apny daman py na ahsan paraye rakhna
Mery sarkar meri bat bnaye rakhna
Shayad is rah sy Khalid mery aaqa ghuzreen
Apni palkoon ko sar-e-rah bichaye rakhna
Apny daman-e-shifaiat men chupaye rakhna
Mery sarkar meri bat bnaye rakhna