Bari umeed hai Sarkar ke qadmon mein bulayenge

Karam ki jab nazar ho gi Madine, hum bhi jayenge

Kisi Sorat yahan per ab Hamara jee nahi lagta
Hamein bad e saba leja ura ker un ke konche mein

Agar jana Madine mein huwa, hum gham ke maaron ka
makeene Gumbad-e-Khazra ko haal-e-dil sunayenge

Jab aaye mout Khak per bal Malker jism per mere
supered Khak kar dena, Saja ker un ke konche mein

Qayamat tak jagayenge na phir Munkar Nakeer unko
Lahad mein wo jisse apna Rukh-e-Zaiba dikhayenge

Gunahgaron mein khud aa aa ke shamil parsaa honge
Shafi-e-Hashr jab Daaman-e-Rehmat mein chupayenge

Bari umeed hai Sarkar qadmon mein bulayenge

Gham-e-Ishq-e-Nabi se hoga jab maamoor dil nayyar
Tere zulmat kade mein bhi sitare jagmagayenge

Karam ki jab nazar ho gi Madine, hum bhi jayenge

Kasam Allah ki ho ga woh manzar deed ke qabil
Qayamat mein Rasulallah jab tashreef layenge

I BUILT MY SITE FOR FREE USING