Basa Hua Hy Nabi Ka dayaar ankhon main
sajae betha hon ek jalwazar ankhon main
Basa Hua Hy,
dayaar-e-pak ka har manzar-e-hassen o jameel
rahye ga kaba qaza yaad gar ankhon main
Basa Hua Hy,
ata kia jo madine k basiyon ne moje
mehak raha hy abi tak wo piyaar ankhon main
Basa Hua Hy,
ab es se barh k koi surma or kia hoga
samet laya hon main kuch ghubar ankhon main
Basa Hua Hy,
bagair dekhe madina inhain nazar aya
hain munfarid meri aankhen hazar ankhon main
Basa Hua Hy,
tarap hy dil main madine k jalwazaron ki
or intezar-e-safar beqarar ankhon main
Basa Hua Hy,
sunaonga wo kahani huzor ko ja kr
chupae betha hon jo ashkbar ankhon main
Basa Hua Hy,
hy aitmad bhi iqbal ko shafaat par
saza ka khoaf bhi hy gonahgar ankhon main
Basa Hua Hy Nabi Ka diyaar ankhon main
sajae betha hon ek jalwazar ankhon main
Basa Hua Hy.