Chalo diyar-e-nabi ki janib durood lab par saja saja kar
Bahareen luttain ge ham karam ki dilon ko daman bana bana kar
Na un ke jesa sakhi hei koi, na un ke jesa ghani hei koii
Wo be-naawa-o ko har jaga se nawaazte hein bula bula kar
Chalo diyar-e-nabi ki janib durood lab par saja saja kar
Hei unko ummat se pyar kitna karam hei rahmat sha’aar kitna
Hamare jurmoon ko dho rahe hein huzor ansu baha baha kar
Chalo diyar-e-nabi ki janib durood lab par saja saja kar
Mein wo nikama hun jiski jholi main koi husn-e-amal nahin hei
Magar wo ihsan kar rahe hein khata-ain meri chupa chupa kar
Chalo diyar-e-nabi ki janib durood lab par saja saja kar
Yahi asaas-e-amal hei meri isi se bigrri bani hei meri
Samet-ta hun karam khuda ka nabi ki natain suna suna kar
Chalo diyar-e-nabi ki janib durood lab par saja saja kar
agar muqaddar ne yawri ki agar madine gya mein Khalid
Qadam qadam khak us gali ki mein chum lun ga utha utha kar
Chalo diyar-e-nabi ki janib durood lab par saja saja kar