Chor Fikr Duniya Ki Chal Madine Chalte Hain
Mustafa ghulamo ki kismate Badal te hai

Mustafa ghulamo ki kismate Badal te hai

Chor fikr duniya ki.

Rehmato ki chadar Ke Sar pe Saaye Chalte Hain
Mustafa Ke Deewane, Ghar Se Jab Nikalte Hain

Chor Fikr Duniya Ki,

Sirf Saari Duniya Me, Wo he kocha e Ahmed
Jis Jagah Pe Hum Jaise, Khote Sikke Chalte Hain

Chor Fikr Duniya Ki,

Naksh kar le sene par, Naam Sarwer e deen ka
Ye wo naam he jis se, sab azab talte hain.

Chor Fikr Duniya Ki,

Ziker e shahebatha ko, wird ab bana legiye
ye wo ziker he jis se, gham khoshi me dalte hain

Chor Fikr Duniya Ki,

Un ko kia zarorat he, Iter mushk amber ki
Khaak jo madina ki, apne tan pe malte hain

Chor Fikr Duniya Ki,

Sach Hain Gair Ka Ehsaan, hum Kabhi Nahi Lete
Aay Aleem Aaqa Ke hum Tukdo Pe Palte Hain

Chor Fikr Duniya Ki, Chal Madine Chalte Hain,
Mustafa Ghulamo Ki Qismatein Badal Te Hain

I BUILT MY SITE FOR FREE USING