Dary nabi par para rahunga , pary hi rehny sy kam hoga
Kabhi to qismat khulygi meri, kabhi to mera salam hogaKhilaf-e-mashoq kuch hua hy , na koi ashiq sy kam hoga
Khuda bhi hoga udhar hi a dil, jidhar vo aali maqam hoga
Kabhi to qismat khulygi meri, kabhi to mera salam hoga
Kiye hi jaunga arz-e-matlab, milega jab tak na dil ka matlab
Na sham-e-matlab ki subha hogi, na ye fasana tamam hoga
Kabhi to qismat khulygi meri, kabhi to mera salam hoga
Jo dil se hai ma il-e-payamber ye uski pehchan hy muqarar
K har dam us by nawa k lab par darood hoga salam hoga
Kabhi to qismat khulygi meri, kabhi to mera salam hoga
Isi tawaqa py ji raha hun, yehi tamana jila rahi hy
Nigahy lutf-o-karam na hogi to mujhko jina haram hoga
Dary nabi par para rahunga , pary hi rehny sy kam hoga
Kabhi to qismat khulygi meri, kabhi to mera salam hoga