Jab Zaban Par Muhammad ka nam agaya
asman sy darood-o-salam agaya
soz-e-furqat sy dil jab pareshan hua
lab py lataknatun ka payam agaya
Jab Zaban Par Muhammad ka nam agaya
asman sy darood-o-salam agaya
jab barhi had sy didar ki tashnagi
rohbaro mery mah-e-tamam agaya
Jab Zaban Par Muhammad ka nam agaya
asman sy darood-o-salam agaya
unki mehfil ka jab bhi tasawor kiya
hath men sir-e-wahdat ka jam agaya
Jab Zaban Par Muhammad ka nam agaya
asman sy darood-o-salam agaya
fasily khawab hi khawab men ty huvy
ankh kholi to bab-us-salam agaya
Jab Zaban Par Muhammad ka nam agaya
asman sy darood-o-salam agaya
kash phir hazri ki ijazat mily
phir karun arz aqa ghulam agaya
Jab Zaban Par Muhammad ka nam agaya
asman sy darood-o-salam agaya
jab madina men pohnchon fiza ghonj uthy
lo vo shada-e-kherulanam agaya
Jab Zaban Par Muhammad ka nam agaya
asman sy darood-o-salam agaya