Hota agar zameen par saya Rasool ka

Fir paao ummati kaha rakhta Rasool ka


Padte hai yu to gair bhi kalma Rasool ka

Jannat use milegi jo hoga Rasool ka


Hota agar zameen par........



Karte hai aheteram janaza ka is liye

Vo ja raha hai dekhle chehra Rasool ka


Hota agar zameen par........


Duniya ko dekhna bhi gavara nahi kiya

Jab tak ali ne dekha na chehra Rasool ka


Hota agar zameen par........


Shere khuda na banta to banta bhi aur kya

Bachpan hi se jo paala hua tha Rasool ka


Hota agar zameen par........


Naara raza ka lagta hai duniya me is liye

Ahmad raza ke lab pe tha naara Rasool ka


Hota agar zameen par........

Naat Khvan : Imran Shaikh Attari

I BUILT MY SITE FOR FREE USING