Pegham saba layi he gulzaar-e-Nabi se
Aaya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se

Har aah gaye Arsh pe ye aah ki kismat
Har ashk pe aik khuld he har ashk ki qeemat

Tohfa ye mila he sarkar-e-Nabi se
Aaya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se, darbar-e-Nabi se

Bhaati nahi humdum mujhe Jannat ki jawaani
Sunta nahi zahid us mein huuron ki kahani

Ulfat he mujhe sayaa-e-deewar-e-Nabi se
Aaya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se, darbar-e-Nabi se

Irfan ki kasak khulq ki me sabr ka saagar
Kiya lutf mila karta he jo dete hein sarwar

Ye pooch le aake koi beemar-e-Nabi se
Aaya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se, darbar-e-Nabi se

Pegham saba layi he gulzaar-e-Nabi se
Aaya hai bulawa mujhe darbar-e-Nabi se, darbar-e-Nabi se

I BUILT MY SITE FOR FREE USING