Ab Meri Nigahoon Mein, Jachta Nahi Koi
Jaisay meray Sarkar hein, aisa nahin koi.

Tumsa to haseen ankh nay, dekha nahi koi,
Yeh shan e latafat hai, kay saya nahi Koi.

Aey zarf-e-nazar dekh, magar dekh adab say
Sarkar ka Jalwa hai, tamasha nahi koi.

aizaz ye hasil hai to hasil hey zameen ko
Aflaq pay to Gumbad-E-Khazra nahin koi.

Hota hy jahan zikar muhammad k karam ka,
us bazam men mehroom tamana nhi koi.

Vo ankh jo roti hy gham-e-ishq nabi men,
us ankh sy ruposh to jalva nhi koi.

Sarkar ki rehmat ney, magar khoob nawaza
Ye sach hey key Khalid sa nikama nahi koi.


I BUILT MY SITE FOR FREE USING