Dekh Ke Jis Ko Ji Nahi bharta, shehar madina aisa hy
ankhon ko jo thandak bakhshy, gunbad-e-khizran aisa hy
minbar-e-pak rasool bhi dekha, dekha khas musala bhi
haram shareef ka har manzir hi, nazar men jajta aisa hy
riazuljana ki khushbo sy dil ko bhi mehkaya hy
masjid-e-nabvi ka manbhata har ik naksha aisa hy
ham mehman bany thy unky, arsh py jo mehman huvy
q na qismat par ho nazan, jin ka aqa aisa hy
vapis ayen dil nhi karta, chor ky unki chokhat ko
jan bhi deden hafiz darpar, dil men aqa aisa hy